mere dil ki dhadak us ke tabassum par garan kyun ho main afsana hun us ka wo mera afsana-khwan kyun ho mere kaam aa gai aakhir meri kashana-bar-doshi lapakti bijliyon ki zad pe mera aashiyan kyun ho kinaron se guzar jaana hi tufanon ki fitrat hai jahan duniya thahar jae qadam mera wahan kyun ho tera jalwa bhi jab tera hi parda hota jata hai to phir meri nigahon par nigahon ka guman kyun ho na main warafta-e-mutrib na main jaan-dada-e-saqi agar mahfil se uth jaun to mahfil bad-guman kyun ho main jis aalam mein hun apni jagah ai 'shor' tanha hun juda ho jis ki manzil wo rahin-e-karwan kyun ho