do ghadi baith ke ashkon ko bhi bahne na diya dil ki choton ne kabhi chain se rahne na diya ru-ba-ru un ke zaban-bandi ka aalam hi sahi shauq-e-didar ne ek lafz bhi kahne na diya har nafas un ke tabassum ne masarrat bakhshi saya-e-gham se rukh-e-zist ko gahne na diya jalte dekhe hain makanat lahu bahte hue phir bhi haalat ne kahna tha jo kahne na diya tha azal se hi 'hilal' un mein wafa ka ehsas qurbat-e-ghair ka sadma kabhi sahne na diya