waqt ka aap bhi har haal mein pichha kije warna baithe hue taqdir ko kosa kije aap alfaz ke khanjar ko na phenka kije dil pe kya guzregi ye bhi zara socha kije jab bhi pechida guzargahon se guzra kije kis tarah log badal jate hain dekha kije apni barbaad mohabbat ka na charcha kije khud ko duniya ki nigahon mein na ruswa kije apne sine se usulon ko lagae rakhiye han zamane ke taqazon ko bhi samjha kije zindagi chain se guzregi yaqinan ai 'ziya' pahle jine ka saliqa bhi to sikha kije