do ghadi baithe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein chubh gaya kanta dil-e-hasrat-zada ke panw mein kam nahin hain jab ki shahron mein bhi kuchh viraniyan kis tawaqqo par koi jaega ab sahraon mein kachchi kaliyan pakki faslen sar chhupaengi kahan aag shahron ki lapak kar aa rahi hai ganw mein zakhm-e-nazzara hain jismon ki barhana tahniyan aise patjhad mein khilenge phul kya aashaon mein kya kahun tul-e-shab-e-gham pal mein sadiyan dhal gain waqt yun guzra ki jaise aable hon panw mein zindagi mein aisi kuchh tughyaniyan aati rahin bah gain hain umr bhar ki nekiyan dariyaon mein jalte mausam mein koi farigh nazar aata nahin dubta jata hai har ek ped apni chhanw mein