dil ke ghao jab aaankhon mein aate hain kitne hi zakhmon ke shahr basate hain karb ki ha-ha-kar liye jismon mein hum jangal jangal sahra sahra jate hain do dariya bhi jab aapas mein milte hain donon apni apni pyas bujhate hain sochon ko lafzon ki saza dene wale sapnon ke sachche hone se ghabraate hain dard ka zinda rahna pyas ka moajaza hai diwane hi ye ban-bas kamate hain tarikhon mein guzre mazi ki surat ahl-e-junun ke naqsh-e-pa mil jate hain dukh sukh bhi karta hai sar bhi phodta hai diwaron se farigh ke sau nate hain