do hath joD kar ye guzarish janab hai

do hath jod kar ye guzarish janab hai
zae' na kijiye jo ye ‘ahd-e-shabab hai

zahir hain chand jalwe to pinhan hazar hain
gahe nazar hai aaina gahe naqab hai

wa'iz na ahl-e-dil ko tu kafir qarar de
tu padh sake kabhi to ye dil bhi kitab hai

andha hua hai aadmi daulat ke pher mein
dekho jo ghaur se to ye zar bhi turab hai

aae nahin to na sahi ye to pata chale
niyyat kharab hai ki tabi'at kharab hai

rahta hai doston ke sada dil mein tu 'sada'
duniya samajhti hai ki tu khana-kharab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close