dil hasraton se jab mera mamur ho gaya

dil hasraton se jab mera ma'amur ho gaya
pindar ka nasha jo tha kafur ho gaya

zahid jab apne zohd pe maghrur ho gaya
main apni laghzishon ka bhi mashkur ho gaya

aankhen na chir pain hudud-e-nazar kabhi
palken huin jo band to dil tur ho gaya

jine ka kya jawaz pas-e-takmila-e-zat
shayad shahid isi liye mansur ho gaya

fikr-e-sukhan mein sarf ki tu ne 'sada' hayat
aur baithe baithe hi koi mashhur ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close