do hathon ke do hain usul

do hathon ke do hain usul
ek mein patthar ek mein phul

tark-e-tamanna ki ye baat
kaun karega dil se qubul

rah-numa ko fikr hi kya
koi musafir kyon hai malul

shab rahenge umr tamam
aap ke wade aap ki bhul

ek na sar se bojh tala
aur balaon ka hai nuzul

chaal na itni tez chalo
sar se unchi panw key dhul

baat banegi tujh se bhala
uzr nahin koi maqul

der hui 'iqbaal' to kya
koi dua to hogi qubul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close