do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam yun laga hai dopahar mein jaise dar aai ho sham us ke honton ka kiya jab zikr mere sher ne har samaat ke labon se ja laga labrez jam jaise sajde mein koi gir kar na utthe der tak yun giri aankhon pe palken sun ke ek kafir ka nam dukh kisi ka ho use dhadkan mein apni sinch le kis ne saunpa hai mere dil ko ye pagal-pan ka kaam ab to ji mein hai ki har dukh par lagaun qahqaha ho gai hain shahr mein aansu-bhari aankhen to aam harf jaise ho gae sare munafiq ek dam kaun se lafzon mein samjhaun tumhein dil ka payam is qadar jaldi bhi kya 'shahzad' thi aakhir bata kya bigadta sath gar tu aur chalta chand gam