do qadam sath mein chalne nahin deta koi

do qadam sath mein chalne nahin deta koi
mujh ko kuchh kaam bhi karne nahin deta koi

phone karta hun to sunta nahin koi lekin
milna chahun bhi to milne nahin deta koi

pahle to milne pe pabandi laga rakkhi hai
baat bhi us se to karne nahin deta koi

gham-zada rahta hun main garche badi muddat se
is ka ehsas bhi hone nahin deta koi

sab se achchha hai yahi ghar mein nazar-band raho
shahar ki bhid mein khone nahin deta koi

nind aankhon se meri kis ne churai aa kar
sona chahun bhi to sone nahin deta koi

main 'samar' chahun ki aaram se rah lun ghar mein
mujh ko aaram se rahne nahin deta koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close