rawan hai waqt rawani mein aab jaisa hai thahar na paya kahin bhi habab jaisa hai sukun-e-qalb ki mangen dua to kyon mangen sukun-e-qalb agar iztirab jaisa hai lahu ka rang bahaaron mein dhal gaya jab se har ek dagh jigar ka gulab jaisa hai har ek qalb sahifa hai ehtiram karo har ek chehre ko padh lo kitab jaisa hai riwayaton pe mohabbat ki ab yaqin nahin mohabbaton ka nazara sarab jaisa hai ulajh raha hai haqiqat se roz jo 'salma' use khabar nahin wo khud bhi khwab jaisa hai