dobara moajiza ho jaega kya

dobara moajiza ho jaega kya
wo pagal phir mera ho jaega kya

lahu taza zamin par thukne se
junun ka haq ada ho jaega kya

ye dil baitushsharf hai hadson ka
ye dil maskan tera ho jaega kya

andheri raat ka daman jala kar
charaghon ka bhala ho jaega kya

teri aankhon mein pal-bhar jhankne se
mohabbat ka nasha ho jaega kya

jise hasil kiya sab kuchh ganwa kar
wo aise hi juda ho jaega kya

zarurat jis ke aage sar jhuka de
batao wo khuda ho jaega kya

qayafa parsai ka bana kar
tu sach mein parsa ho jaega kya

agar main phod dun suraj ki aankhen
andhera ja-ba-ja ho jaega kya

kai raaten musalsal jagne se
tu ek shair bada ho jaega kya

mere ek lams ki hiddat pahan kar
wo patthar mom ka ho jaega kya

hamare be-bizaat faslon se
talluq narawa ho jaega kya

wo kahte hain bani lamhe mein duniya
ye sab kuchh barmala ho jaega kya

haqiqat mein tu mere samne hai
ye manzar khwab sa ho jaega kya

'nadim' ab man ja ashaar mat likh
to yunhi bawla ho jaega kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close