donon aalam se ayan tha mujhe malum na tha tu hi to jalwa-kunan tha mujhe malum na tha qalb-e-muztar mein mere mehr-o-wafa ki surat nur ka ek jahan tha mujhe malum na tha dard-e-kaunain utha rakkha tha allah allah dil mera kitna jawan tha mujhe malum na tha tu meri mahfil-e-afkar sajaane ke liye ruh mein nur fashan tha mujhe malum na tha zinat-e-farsh raha ya sar-e-qausain raha tera mahbub kahan tha mujhe malum na tha jo baha fart-e-nadamat se huzuri mein teri kitna wo ashk garan tha mujhe malum na tha lala-o-gul mein fazaon mein mah-o-anjum mein tera hi nur nihan tha mujhe malum na tha bagh-e-hasti mein jala mera wajud-e-hasti surat-e-fasl-e-khizan tha mujhe malum na tha