donon aalam se nirali ishq ki sarkar hai hosh se jo be-khabar hai wo yahan hoshiyar hai ro rahe hain khun ke aansu mere zakhm-e-jigar dil mere pahlu mein hai ya dida-e-khun-bar hai aa gaya ahd-e-khizan rukhsat hui fasl-e-bahaar shakh-e-gul par nauhagar phir andalib-e-zar hai aankh milna tha ki rukhsat ho gae sabr-o-qarar kya ise didar kahte hain yahi didar hai hijr ki raaten meri ho jaen ghadiyan wasl ki ye tumhein aasan hai mere liye dushwar hai allah allah moajiza hai kya sharab-e-husn ka jo teri mahfil mein hai wo be-piye sarshaar hai kyon na ai 'fazil' karun main phir parastish husn ki dekhta hun zarra zarra aalam-e-anwar hai