dil ke har zarre mein paida qais ki duniya karen aao daman-e-nazar ko aaj hum laila karen teri shokhi aur mere dil ki betabi ko dekh kar diya raaz-e-junun ifsha bata hum kya karen aankh mein taswir teri dil mein teri yaad hai aur hum duniya mein rah kar tu hi kah de kya karen phir mere dil mein chalen aaen wo be-parda kabhi phir mere jazbaat mein wo hashr sa barpa karen hai jo daman-e-mizha mein ek qatra ashk ka ji mein aata hai ki is qatre ko ab dariya karen sard pad jae na 'fazil' garmi-e-bazar-e-husn aao chadh kar dar par phir ek hashr sa barpa karen