donon gharon ka lutf judagana mil gaya kabe se hum chale the ki but-khana mil gaya saqi se yun subut-e-karimana mil gaya paimana main ne manga tha mai-khana mil gaya dil kyun na hum farokht karen is yaqin par qimat bhi ab milegi jo baiana mil gaya saqi ki chashm-e-mast idhar aaj uth gai hum ko hamare zarf ka paimana mil gaya karni padi na aur kahin justuju mujhe kabe hi ke hudud mein but-khana mil gaya mahshar mein dekh kar unhen yun shad ho gae goya hamein najat ka parwana mil gaya mil kar bhi jal gaya ki bacha ye na puchhiye itna hua ki shama se parwana mil gaya ab dar-ba-dar ki thokaren khane se kya gharaz mujh ko khuda-e-kaba-o-but-khana mil gaya allah re chashm-e-saqi-e-mahfil ka lutf-e-khas sab yun hi rah gae mujhe paimana mil gaya wo khat mein likh rahe hain teri aafiyat nahin mujh ko adam ki rah ka parwana mil gaya ai sailkan-e-jada-e-irfan badhe chalo but-khana mil gaya to khuda-khana mil gaya tauqir-e-ishq khak udane se badh gai ye hai ghalat ki khak mein diwana mil gaya pae uruj kyun na hamari farotani phula phala wo khak mein jo dana mil gaya josh-e-junun ke waste ab kuchh na chahiye virane ki talash thi virana mil gaya paimana-o-subu ki zarurat nahin rahi mujh ko mizaj-e-saqi-e-mai-khana mil gaya marqad se kushtagan-e-mohabbat nikal chuke ab hashr tak ke waste kashana mil gaya malum hum ne kar liye asrar-e-husn-o-ishq taqdir se agar koi diwana mil gaya rakh li khuda-e-ishq ne josh-e-junun ki sharm ghar se nikalte hi mujhe virana mil gaya wo kah gae ki phir koi tufan uthae ai 'nuh' mujh ko shaghl-e-qadimana mil gaya