mana ki rang rang tera pairahan bhi hai par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai aql-e-maash o hikmat-e-duniya ke bawajud hum ko aziz ishq ka diwana-pan bhi hai mutrib bhi tu nadim bhi tu saqiya bhi tu tu jaan-e-anjuman hi nahin anjuman bhi hai bazu chhua jo tu ne to us din khula ye raaz tu sirf rang-o-bu hi nahin hai badan bhi hai ye daur kis tarah se katega pahad sa yaro batao hum mein koi kohkan bhi hai