donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho chahat ka maza jab hai ki tum bhi mujhe chaho ye hum nahin kahte hain ki dushman ko na chaho is chah ka anjam magar dekhiye kya ho shamshir se badh kar hain hasinon ki adaen be-maut kiya qatl un achchhon ka bura ho mashuq tarah-dar ho andaz ho achchha dil aae na aise pe to phir dil ka bura ho pura koi hota nazar aata nahin arman un ko to ye zid hai ki hamara hi kaha ho tum mujh ko pilate to ho mai sina pe chadh kar us waqt agar koi chala aae to kya ho wada wo tumhaara hai ki lab tak nahin aata matlab ye hamara hai ki baaton mein ada ho khanjar ki zarurat hai na shamshir ki hajat tirchhi si nazar ho koi banki si ada ho khali to na jaen dam-e-rukhsat mere nale fitna koi utthe jo qayamat na bapa ho chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bata do mera dil-e-betab agar tum ne liya ho un se dam-e-raftar ye kahti hai qayamat fitne se na khali koi naqsh-e-kaf-e-pa ho bad-zan hain wo is tarah ki surma use samjhen bimar ki aankhon mein agar nil dhala ho khat khol ke padhte hue darta hun kisi ka lipti hui khat mein na kahin meri qaza ho marna hai usi ka jo tujhe dekh ke mar jae jina hai usi ka jo mohabbat mein jiya ho hai dil ki jagah sine mein kawish abhi baqi paikan koi pahlu mein mere rah na gaya ho mujh ko bhi kahin aur se aaya hai bulawa achchha hai chalo aaj bhi wada na wafa ho 'bekhud' ka fasana to hai mashhur-e-zamana ye zikr to shayad kabhi tum ne bhi suna ho