guzar chali hai shab-e-dil-figar aakhiri bar bichhadne wale hain yaron se yar aakhiri bar damak raha hai sahar ki jabin pe bosa-e-shab thapak rahi hai saba ru-e-yar aakhiri bar zara si der ko hai pattiyon pe shisha-e-nam guzar rahi hai kiran aar-par aakhiri bar ye baat khemon ke jalte diye bhi jaante the ki hum ko bujhna hai tartib-war aakhiri bar kisi alaw ka shoala bhadak ke bolta hai safar kathin hai magar ek bar aakhiri bar sumon se udti hui reg-e-dasht dhundhti hai ghubar hote hue shahsawar aakhiri bar