donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair puchho na ja raha hun main karne ko ab kidhar ki sair mitti ki khub-surati mitti mein mil ke dekhiye chhodiye is makin ko kijiye apne ghar ki sair dekhi nahin thi chaak ne achchhi tarah se dekh li waise bhi dil-fareb thi kuze pe kuza-gar ki sair seb ke ped ke tale gend wo ghumti hui puri kashish se khinch kar karne lagi hai sar ki sair waise to kuchh nahin pata itna pata hai bagh hai barson se kar raha hun main jis ke liye udhar ki sair teri hi sair ke liye aata rahunga bar bar tera tha sat din ka shauq meri hai umr bhar ki sair pahli nazar mein kaenat utni khili ki jitni thi phir jo nazar ne sair ki karti rahi khabar ki sair