gae the wahan ji mein kya than kar ke chale aae iran turan kar ke agar dil ka bil-farz gul nam pad jae to phir hai ye sina gulistan kar ke diya hum ne dil un pari-chehragan ko zaru-e-qayas aadmi jaan kar ke ye duniya hamein khush na aaegi phir bhi rahen khwah khud ko sulaiman kar ke tere gham mein jis se mizha tar karun hun wo ek qatra hai qulzumistan kar ke dikha hi diya aakhirash ahl-e-dil ne isi dane se khet khaliyan kar ke ye kya chiz tamir karne chale ho bina-e-mohabbat ko viran kar ke miyan hum to 'jawed' ko le gae the diya hi nahin us ne pahchan kar ke