donon ke jo darmiyan khala hai ye asl mein koi tisra hai tujh bin ye mera wajud kya hai ek ped hai aur khokhla hai ek chap sunai de rahi hai darwaze se wo palat gaya hai wo ek din intizar ka din phir zindagi bhar wo din raha hai tabir batai ja chuki hai ab aankh ko khwab dekhna hai bas dhund nigal chuki hai ye raat nazzara tamam ho chuka hai