na hota dahr se jo be-niyaz kya karta khula tha mujh pe kuchh aisa hi raaz kya karta mariz kashmakash-e-jabr-o-ikhtiyar mein tha ilaj-e-jazb-o-kashish chaara-saz kya karta tere karam ne to duniya hi saunp di thi mujhe bacha ke kuchh na rakha hirs-o-az kya karta bigad gaya mera huliya to barhami kaisi the rahguzar mein nasheb-o-faraaz kya karta mujhe khabar thi ki main bhi tere sabab se hun phir apni zat pe main fakhr-o-naz kya karta tamam umr rahe pahre-dar kandhon par tere khilaf ai 'anjum'-nawaz kya karta