donon mein kitna farq magar donon ka hasil tanhai apnon mein duri lati hai wo shohrat ho ya ruswai jiwan ke kore kaghaz par jina hoga tahriron mein ujle pannon par syahi se karni hogi harf-arai hum hain us ka hi aks magar hai bich mein jiwan ka darpan jab tutega jiwan-darpan tab zahir hogi sachchai pahle to khud se dur kiya phir saza sunai jine ki ji chuke to ye farman mila ab phir se hogi sunwai wo khud mein mukammal hai to phir kyunkar wo khud mein rah na saka kyun bikhar gaya zarra zarra kyun sah na saka wo tanhai