khudi ki fitrat-e-zarrin ke raaz-ha-e-darun ada-shanas haqiqat mile koi to kahun khudi agar hai to hain surkh-ru hayat-o-mamat khudi nahin to hayat-o-mamat khar-o-zabun khudi wo chiz hai nadan ki jis ke badle mein mile jo daulat-e-kaunain bhi mujhe to na lun alamaten hain ye sab ek mard-e-kaamil ki khulus-e-ruh o yaqin-e-tamam o soz-e-darun samajh saka na samajh kar bhi aaj tak koi ye aab-o-gil ka fasana ye aab-o-gil ka fusun meri nazar mein hai raaz-e-darun-e-mai-khana magar ye soch raha hun kahun to kis se kahun jinhen talash-e-sukun hai unhen ye kya malum ki ek mahshar-e-khamosh hai jahan-e-sukun