dosh-ba-dosh dosh tha mujh se but-e-karishma-kosh parda dar khiyam-e-aql-e-rakhna-gar harim-e-hosh ghaza ba-ru misi ba-lab pan ba-dahan hina ba-kaf silk-e-durr-e-adan basar turra-e-ambarin ba-dosh pal mein mariz wo kare dam mein shifa ye de mujhe aah wo chashm-e-mai-parast wah wo lal-e-baada-nosh mail-e-aish jaan kar jahil bewafa kahe sail-e-bosa jabki hun chupke kahe ki chup khamosh ishq mein sab hai behtari dekh ba-chashm ghadi rashk-e-qamar hai mushtari-e-dida-gah-e-farosh munkir-e-mai tha shaikh kal aaj ye haal hai ki hai jam-ba-dast-o-khum-ba-sar shisha-ba-lab-o-ba-dosh naghma-sara ho 'muhsina' taki wo bagh bagh bagh sausan-e-sad-zaban ho gul ki tarah tamam gosh