kahan aaya hai diwanon ko tera kuchh qarar ab tak tere wade pe baithe kar rahe hain intizar ab tak khuda malum kyun lauti nahin ja kar bahaar ab tak chaman wale chaman ke waste hain be-qarar ab tak bura gulchin ko kyun kahiye bure hain khud chaman wale bhale hote to kya munh dekhti rahti bahaar ab tak chaman ki yaad aai dil bhar aaya aankh bhar aai jahan bola koi gulshan mein baqi hai bahaar ab tak sabab jo bhi ho surat kah rahi hai raat jage ho gawahi ke liye baqi hai aankhon mein khumar ab tak qayamat aae to un ko bhi aate aate aaega wo jin ko tere wade par nahin hai e'tibar ab tak salamat mai-kada thodi bahut un ko bhi de saqi takalluf mein jo baithe rah gae kuchh baada-khwar ab tak khudara dekh le duniya ki phir ye bhi na dekhegi chaman se jate jate rah gai hai jo bahaar ab tak qafas mein rahte rahte ek muddat ho gai phir bhi chaman ke waste rahti hai bulbul be-qarar ab tak khabar bhi hai tujhe mai-khwar to badnam hai saqi daba kar kitni botal le gae parhez-gar ab tak are daman chhuda kar jaane wale kuchh khabar bhi hai tere qadmon se hai lipti hui khak-e-mazar ab tak ye kahne wale kahte hain ki tauba kar chuke 'bismil' magar dekhe gae hain mai-kade mein bar bar ab tak