dosh-e-hawa pe tinkon ka ye aashiyana kya jis ko ujad hi jaana hai wo ghar basana kya hum ko chhupa rahe ho ye aakhir hamin se kyun hum se mila rahe ho hamein ghaebana kya hum kaun juzw-e-khas kisi dastan ke the kaisa hamara zikr hamara fasana kya aankhon mein ashk rok liye is khayal se mitti mein motiyon ka lutaen khazana kya wo bazm-e-dostan na wo ab ku-e-dilbaran bahar nikal ke ghar se kahin aana jaana kya maqsad ye kya nahin hai ki dushman ko ho shikast ye jang ho rahi hai koi dostana kya jab sab yahan khamosh hain diwar ki tarah phir sunna kya kisi se kisi ko sunana kya 'mohsin' kahin bhi le ke hamein aab-o-dana jae apna yahan pe thaur koi kya thikana kya