jaise hoti aai hai waise basar ho jaegi zindagi ab mukhtasar se mukhtasar ho jaegi gesu-e-aks-e-shab-e-furqat pareshan ab bhi hai hum bhi to dekhen ki yun kyunkar sahar ho jaegi intizar-e-manzil-e-mauhum ka hasil ye hai ek din hum par inayat ki nazar ho jaegi sochta rahta hai dil ye sahil-e-ummid par justuju aaina-e-madd-o-jazar ho jaegi dard ke mushtaq gustakhi to hai lekin muaf ab dua andesha ye hai kargar ho jaegi sans ke aaghosh mein har sans ka naghma ye hai ek din ummid hai un ko khabar ho jaegi