dost dushman ne kiye qatl ke saman kya kya

dost dushman ne kiye qatl ke saman kya kya
jaan-e-mushtaq ke paida hue khwahan kya kya

aafaten dhati hai wo nargis-e-fatan kya kya
dagh deti hai mujhe gardish-e-dauran kya kya

phir saki mere gale par na chhuri hai zalim
warna gardun se hue kar-e-numayan kya kya

husn mein pahlu-e-khurshid magar dabega
dur khinchta hai hamara mah-e-taban kya kya

ru-e-dilbar ki safa se tha bada hi dawa
samne ho ke hua aaina hairan kya kya

aankhen gesu ke tasawwur mein raha karti hain band
lutf dikhlata hai ye khwab-e-pareshan kya kya

gardish-e-chashm dikhata hai kabhi gardish-e-jam
meri tadbir mein phirta hai ye dauran kya kya

chashm-e-bina bhi ata ki dil-e-agah bhi diya
mere allah ne mujh par kiye ehsan kya kya

dost ne jab na dam-e-zabh sisakta chhoda
mere dushman hue hans hans ke pasheman kya kya

gardish-e-nargis-e-fattan ne to diwana kiya
dekho jankwae kunen chah-e-zanakhdan kya kya

jal gaya aag mein aap apne main manind-e-chinar
piste rah gae dant arra-o-sohan kya kya

kuchh kahe koi main munh dekh ke rah jata hun
kam dimaghi ne kiya hai mujhe hairan kya kya

garm hargiz na hua pahlu-e-khali be-yar
yaad aawegi mujhe fasl-e-zamistan kya kya

koi mardud-e-khalaiq nahin mujh sa 'atish'
kya kahun kahte hain hindu-o-musalman kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close