dost hai wo piTh par aaega neza tan kar

dost hai wo pith par aaega neza tan kar
bhai hai to ja meri ruswai ka saman kar

warna sidhe se ada kar de sharafat ka khiraj
aur aazadi ki khwahish hai to badh elan kar

tujh ko haq-talfi ka ye ehsas kyon hone laga
sare andhe bantte hain rewdi pahchan kar

aa gale mil dard ka rishta hai apne darmiyan
itne zoron se na hindostan pakistan kar

mere gham-khane ko jaise tu ne jal-thal kar diya
mehrban baadal kisi sahra ko nakhlistan kar

raushni rahti hai teri shish-mahlon mein sada
chand pyare meri kutiya par kabhi ehsan kar

us ne puchha tak nahin 'parwez' ho kis haal mein
main to us ke pas aa baitha tha apna jaan kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close