nahin misal koi aisa be-misal badan hai khud jawab wo apna hai khud sawal badan mahaz-e-jang-e-wafa pe shikast-e-ishq ke baad pada hai dasht mein ab tak wo paemal badan tilism-e-kun-fayakun kis ne padh ke phunk diya zara si khak hui kaisa ba-kamal badan tere badan ki masafat ko tai kiya to magar pada hua hai abhi tak mera nidhaal badan shuur-o-fikr pe ghaalib hai jism ka mausam har ek khwab badan hai har ek khayal badan