dost jab dil sa aashna hi nahin ab hamein ghair ka gila hi nahin jis ka dil dard-ashna hi nahin us ke jine ka kuchh maza hi nahin ek dam hum se wo juda hi nahin gar juda ho to wo khuda hi nahin aashnai pe us ki mat jaana le ke dil phir wo aashna hi nahin khak chhani jahan ki lekin dil-e-gum-gashta ka pata hi nahin lakh mashuq hain jahan mein magar aah wo naz wo ada hi nahin sai-e-be-faeda hai chaaragaro maraz-e-ishq ki dawa hi nahin dard-e-dil un se hum kaha hi kiye par unhon ne kabhi suna hi nahin sar phiraata hai kyun abas naseh mera kahne mein dil raha hi nahin ab wo aae to aaen kya hasil taqat-e-arz-e-muddaa hi nahin main to kya gosh-e-charkh ne bhi 'aish' aisa bedad-gar suna hi nahin