zulmaton mein go thaharne ko thahar jate hain log ahl-e-manzil ki nigahon se utar jate hain log kal talak to husn ki masumiyat mashkuk thi ab khulus-e-ishq par bhi chot kar jate hain log rah mein ab wo dar-e-jaanan ho ya dair-o-haram sar uthae be-niyazana guzar jate hain log zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin hae wo haalat jab be-maut mar jate hain log shaikh-sahib hum siyah-bakhton ka pichha chhodiye sham hoti hai to apne apne ghar jate hain log