dost ka ghar aur dushman ka pata malum hai zindagi hum ko tera ye silsila malum hai zindagi ja hum bhi ku-e-arzu tak aa gae is ke aage hum ko sara rasta malum hai kya munajjim se karen hum apne mustaqbil ki baat haal ke bare mein hum ko kaun sa malum hai ya to jo na-fahm hain wo bolte hain in dinon ya jinhen khamosh rahne ki saza malum hai sher par to aap ki qudarat musallam hai 'shuja' is zamane ka bhi kuchh achchha bura malum hai