milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi rah mein dasht nahin padta tha chaar gharon ki duri thi jazbon ka dam ghutne laga hai lafzon ke ambar tale pahle nishan-zad kar lena tha jitni baat zaruri thi teri shakl ke ek sitare ne pal bhar sargoshi ki shayad mah-o-sal-e-wafa ki bas itni mazduri thi pyar gaya to kaise milte rang se rang aur khwab se khwab ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi ek ghazal ko dur se dekha aur ghazal tayyar hui sahme sahme se lafzon mein halki si kasturi thi