dost ki dushmani se waqif hun aap ki be-rukhi se waqif hun ye mata-e-aziz hai meri sozish-e-daimi se waqif hun ras aae na jis ko jannat bhi dil ki us bekali se waqif hun nang-e-zulmat watan mein aai jo is nai raushni se waqif hun aaj ki zindagi pe hai ye bar aaj ke daimi se waqif hun ek shaitan ek farishta hai aadmi aadmi se waqif hun aashna bhi hue hain begane dosto muflisi se waqif hun kaun dekhega pairahan sad-chaak apni is be-kasi se waqif hun lamha bhar khul ke khak mein milna phul ki tazgi se waqif hun tur pe jo na pa sake musa dil ki us sarkhushi se waqif hun fash hain mujh pe raaz-e-yazdani azmat-e-bandagi se waqif hun ahl-e-tanqid mutmain rahiye adab aur zindagi se waqif hun