duniya-e-mohabbat ki hai rasm judagana farzana hai diwana diwana hai farzana ek ghairat-e-mariyam ki in shokh adaon ko kya de diya hum ne jo dil de diya nazrana kya ahl-e-khirad samjhen kya is ki haqiqat hai barbaad hui basti aabaad hai virana gul-pash fazaen hain masti si barasti hai aa josh-e-bahaaran hai ai dilbar-e-mastana har lafz haqiqat hai har baat sadaqat hai hai garche meri hasti afsana hi afsana