dosto bargah-e-qatl sajate jao qarz hai rishta-e-jaan qarz chukate jao rahe khamosh to ye hont sulag uthenge shoala-e-fikr ko aawaz banate jao apni taqdir mein sahra hai to sahra hi sahi aabla-pao! nae phul khilate jao zindagi saya-e-diwar nahin dar bhi hai zist ko ishq ke aadab sikhate jao be-zamiri hai sar-afraaz to gham kaisa hai apni tazlil ko mear banate jao ai mashihao agar chaaragari hai dushwar ho sake tum se naya zakhm lagate jao karwan azm ka roke se kahin rukta hai lakh tum rah mein diwar uthate jao ek muddat ki rifaqat ka ho kuchh to inam jate jate koi ilzam lagate jao jin ko gahna diya afkar ki parchhain ne 'mohsin' un chehron ko aaina dikhate jao