ek ek se yahi kahta hun bata main kya hun ek muddat hui main bhul gaya main kya hun naqsh-bar-ab sahi aap bana aap mita ab talak hilti hai zanjir-e-sada main kya hun apni pahnai mein gum-karda nishan hun main bhi tu agar hai isi duniya ka khuda main kya hun ek tarikh-e-wiladat hai meri ek wafat in haqaeq ke siwa aur bata main kya hun ab kahan dhundhne jaoge mujhe ai logo ho chuka khak gai le ke hawa main kya hun