dosto kya hai takalluf mujhe sar dene mein sab se aage hun main kuchh apni khabar dene mein phenk deta hai udhar phul wo gahe gahe jaane kya der hai daman mera bhar dene mein saikadon gum-shuda duniyaen dikha din us ne aa gaya lutf use luqma-e-tar dene mein shaeri kya hai ki ek umr ganwai hum ne chand alfaz ko imkan o asar dene mein baat ek aai hai dil mein na bataun us ko aib kya hai magar izhaar hi kar dene mein use malum tha ek mauj mere sar mein hai wo jhijhakta tha mujhe hukm-e-safar dene mein main nadi par karun soch raha hun 'bani' mauj masruf hai pani ko bhanwar dene mein