phir ulajhte hain wo gesu ki tarah phir kaji par hain wo abru ki tarah shahr-e-wahshat mein kahan ghar kaisa dasht mein rahte hain aahu ki tarah husn aur ishq ko aao taulen donon aankhon se taraazu ki tarah mujh ko aankhon mein jagah do chande phir gira dijiyo aansu ki tarah na kahunga ki sanwaro zulfen phir ulajh jaenge gesu ki tarah ai 'sakhi' phirti hai kis khal ki shakl samne aankh ke bichchhu ki tarah