dosto tum ne ajab ye ehtimam-e-gham kiya qatl suraj kar diya phir raat bhar matam kiya yaad rakhegi ye duniya us ko sadiyon dosto jaan-e-bar-haq jis ne de di sar na lekin kham kiya kaamyabi kis tarah hoti hamein hasil bhala sochte aksar rahe hum kaam lekin kam kiya karzar-e-zindagi mein khud ko hum ne dosto barha shoala kiya to barha shabnam kiya ek muddat se hamare darmiyan thi dosti us ne kaise dushmani ka faisla ek dam kiya wahshaten palne lagin 'masud' sare shahar mein jab se milna aadmi ne aadmi se kam kya