aaya hi nahin koi bojh apna uthane ko kab tak main chhupa rakhta is khwab-khazane ko dekha nahin rukh karte jis tarf zamane ko ji chahta hai akasr us samt hi jaane ko ye shaghl-e-zabani bhi be-sarfa nahin aakhir sau baat banata hun ek baat banane ko is kunj-e-tabiat ki mumkin hai hawa badle jhonka koi aa jae patte hi udane ko raazi na hua main bhi manus manazir par tayyar na tha wo bhi kuchh aur dikhane ko jaisa ki samajhte ho waisa to nahin kuchh bhi ye sara tamasha hai ek wahm mitane ko