doston se koi gila hi nahin ab mere pas kuchh bacha hi nahin sab ke honton pe muskurahat hai aisa lagta hai kuchh hua hi nahin kal to pane ko tha bahut lekin aaj khone ko kuchh bacha hi nahin waldiyat puchhta hai wo sab ki jis ke man-bap ka pata hi nahin lakh chaha yazid ne lekin ek sar tha ki jo jhuka hi nahin yun laga hai mujhe mitane par jaise mera koi khuda hi nahin warna 'didar' kya nahin hota koi tujh sa tujhe mila hi nahin