ab shikayat kya karen guzre hue tufan se

ab shikayat kya karen guzre hue tufan se
raushni aane lagi hai phir se raushan-dan se

khwahishon ki arthiyan ab to uthengi shan se
dil laga baithi hai meri muflisi dhanwan se

chhu gaya jo bhul se un ke dupatte ka sira
khushbuen aane lagin sukhe hue gul-dan se

zehn par duniya ki lalach phir se hawi ho gai
de ke mitti main abhi lauta tha qabristan se

gar wafadari ki khwahish hai to kutte pal le
mat wafa ki aas rakh is daur ke insan se

shart ye hai kuchh zamin bone ki khatir to mile
jit lunga main jahan ko ek mutthi dhan se

chhedti hai yaad teri jab mujhe pichhle pahar
rone lagta hun main lag ke 'mir' ke diwan se

jin ko ho jam-e-shahadat ki talab 'didar' phir
wo nahin aate palat kar jang ke maidan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close