dua-e-nim-shab aah-e-sahar soz-e-darun dil ka masiha bhi hai monis bhi hai marham bhi hai bismil ka ilahi meri gharqabi mein kis ka hath hai aakhir safina ka hawa ka fitna-za maujon ka sahil ka hai mera zauq-e-rindi qaid har mausam se baala-tar na main paband saqi ka na shishe ka na mahfil ka khuda par hai mera iman qayamat-khez tufan mein bharosa nakhuda ka hai na kashti ka na sahil ka diya karte hain aksar dawat-e-fikr-e-sukhan mujh ko sahar shabnam shafaq tare tabassum mah-e-kaamil ka khirad wale zara khud thande dil se ghaur farma len fughan fariyaad matam nala hal hai kya masail ka jise kahte hain manzil imtihan hai asl mein 'jauhar' umangon ka junun ka hauslon ka azm-e-kaamil ka