aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto wo to kahiye ki soz-e-jigar mil gaya khun-e-dil ho gaya na-gahan dosto tum to diwana thahra rahe the hamein de rahe the na dushnam-e-diwangi tirgi mein charaghan ye kis ne kiya kis ne badla chaman ka saman dosto umr kaliyon ki kitni jo batla saken kis ke khun-e-jigar se hai husn-e-chaman khak-e-gulshan se puchho bahaaron mein hai kis ke khun se ye gulkariyan dosto jab nasim-e-sahar ki zabani suni meri rudad-e-gham sahn-e-gulzar mein zabt shabnam se aansu na phir ho sake qalb-e-gul ho gaya khun-chakan dosto kis qadar hum ne khae hain tir-e-sitam gardish-e-waqt ke kya ginaen karam un ka daman chhuta khun-e-arman hua fasl-e-gul mein jala aashiyan dosto kaise tuta hai dil kis ne toda hai dil saneha kis tarah ye hua runuma yun na rah rah ke chhedo khuda ke liye mohtaram sathiyo mehrban dosto chaak sine mein apne bhi kuchh kam na the hum ne zakhmon ki lekin numaish na ki ye alag baat hai misl-e-gul hum rahe gulsitan mein tabassum-fashan dosto jin se milne ko betab rahte the hum un se khalwat mein samna ho gaya kis ne dekha unhen kaun un se mila aa gai be-khudi darmiyan dosto baat kya hai hamein bhi to ho kuchh khabar kyon wo ghar se nikalta nahin aaj-kal zikr kis shakhs ka aaj ye chhid gaya kaun 'jauhar' wo shewa-bayan dosto