dua ye hai ki na de sath ab hayat bahut

dua ye hai ki na de sath ab hayat bahut
ki mujh pe bhaari hai gham ki siyah raat bahut

mujhi se ishq wafaon ki kaenat ko tha
mujhi ko roi wafaon ki kaenat bahut

tamam raat tumhaara hi intizar raha
tumhin ko main ne pukara tamam raat bahut

har ek umang ubharti thi dub jaane ko
bahut qarib thi hadd-e-tayyunat bahut

wo meri teri mohabbat ki baat hai pyare
chali hai jo bhi zamane mein koi baat bahut

jali jali si guzari thi zindagi main ne
bujhi bujhi si rahi hai meri hayat bahut

khuda gawah mere ghaznawi ko kya malum
bura sa lagta hai viran somnat bahut

meri udas nigahon ko dekhne walo
nae khiladi ko hoti hai ek mat bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close