duaen de ke jo dushnam lete rahte hain wo jam dete hain aur jam lete rahte hain khafa na ho ki hamara qusur koi nahin bila-irada tera nam lete rahte hain hujum-e-gham mein tera nam bhul bhi jae to phir bhi jaise tera nam lete rahte hain ye nam aisa hai bilkul hi gar na len us ko to phir bhi hum sahar-o-sham lete rahte hain teri nigah ka kya qarz hum utarenge teri nazar se bade kaam lete rahte hain main wo musafir-e-raushan-khayal hun yaro jo raste mein bhi aaram lete rahte hain gham-e-hayat ki talim-o-tarbiyat ke liye teri nigah ke ahkaam lete rahte hain padi hai yun hamein bad-namiyon ki chat 'adam' ki muskura ke har ilzam lete rahte hain